Dil ka daaman chhod bhi do

Zafar Gorakhpuri

kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahii.n
Gam denaa maaluum hai lekin Gam kii davaa maaluum nahii.n 

jin kii galii me.n umr ga.Nvaa dii jiivan bhar hairaan rahe
paas bhii aake paas na aaye jaan ke bhii a.njaan rahe
kaun sii aaKhir kii thii hamane aisii Khataa maaluum nahii.n 

ai mere paagal armaano.n jhuuThe ba.ndhan to.D bhii do
ai merii zaKhmii ummiido.n dil kaa daaman chho.D bhii do
tum ko abhii is nagarii me.n jiine kii sazaa maaluum nahii.n

Related posts:

  1. Tabiyat meri maail kabhi aisi to na thi
  2. Mujhe mar jana nahin aataa
  3. Jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
  4. Dil se un ka rishta kya hai
  5. Vo bhi shayad ro pade veeraan kaagaz dekh kar

Leave a Reply