Aur aaj shikasta hua
Ahmed Faraz Urdu Poetry chheDe main ne kabhii lab-o-ruKhsaar ke qisse gahe gul-o-bul_bul kii hikaayat ko nikhaaraa gahe kisii shahazaade ke afsaane sunaaye gahe kyaa duniyaa-e-paristaa.N kaa nazaaraa mai.n khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaa.N me.n har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa baraso.n yuu.N hii dil_jamii-e-aurang kii Khaatir sau phuul khilaaye kabhii sau zaKhm Khariide [...]






