Zara phir soch lo janaa

Jo tum ne thaan hi li hay
Humare dil se niklo ge
To itna jaan lo piyare
Wafa ki siriyoon pe har qadam phelah huwa hay
Yeh aarzouun ka laho zaya na jaye ga
Sitare,
Jin ki aankhon ne humain eik sath dekha hay
Gawahi dene ayeen ge
Pourane kagazon ki balkoni se bahut se lafaz jhankain ge
Tumain wapas bulayen ge!
kehhi wahde,
Fasadi karz khuahon ki tara rastye main rokain ge
Tumari jaan khayen ge
Chupa kar kis tara chera
Bahri mehfil se niklo ge
Zara phir soch lo janaa
Nikal to jao ge shayad
Magar mushkil se niklo ge!!!

Related posts:

  1. KAI WADAY
  2. Purani yaad se niklo
  3. Wapas tum ko bula rahi hain
  4. Soch ka mahwar
  5. Jaane Kya Soch Ker

Leave a Reply