Jab Humne Unka Naam Liya

Dil se dil ki baat huee jab humne unka naam liya,
Aankhon se barsaat huee jab humne unka naam liya,
Barish ke is mausam me bethen hain hum sukhe-sukhe,
Ek khalish si uthti hai jab humne unka naam liya,
Yun to basey hue hain wo hi is dil ki har dhadkan mein,
Par dil mein dard ki lehar uthi jab humne unka naam liya,
Ye dil deewana ho jata jab humne unka naam liya,
Bhul nahi sakte hain unko ek lamha bhi jeevan mein,
Yaad nahi kuch rehta hai jab humne unka naam liya,
Nahi raha ab kuch bhi apna dil bhi unke naam kiya,
Sab kuch unke naam kiya jab humne unka naam liya…

Related posts:

  1. Humne halaat se ladna chhod diya
  2. choom liya
  3. Dil unka dhadka par
  4. BENAAM SA YE DARD
  5. Badnasibi meri ki koi bana nahi mera

Leave a Reply