Mar ke bhi chain na paya to

Ibrahim Zauq

ab to ghabaraa ke ye kahate hai.n ke mar jaaye.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaaye.nge 

tum ne Thaharaa_ii agar Gair ke ghar jaane kii
to iraade yahaa.N kuchh aur Thahar jaaye.nge 

ham nahii.n vo jo kare.n Khuun kaa daavaa tujh par
balqi puuchhegaa Khudaa bhii to mukar jaaye.nge 

aag dozaKh kii bhii ho jaayegii paanii paanii
jab ye aasii arq-e-sharm se tar jaaye.nge  

sholaa-e-aah ko bijalii kii tarah chamakaauu.N
par mujhe Dar hai, ki vo dekh kar Dar jaaye.nge 

laaye jo mast hai.n turbat pe gulaabii aa.Nkhe.n
aur agar kuchh nahii.n, do phuul to dhar jaaye.nge 

nahii.n paayegaa nishaa.N ko_ii hamaaraa hargiz
ham jahaa.N se ravish-e-tiir-e-nazar jaaye.nge 

pahu.Nche.nge rahaguzar-e-yaar talak ham kyuu.N kar
pahale jab tak na do aalam se guzar jaaye.nge 

'Zauq' jo madarase ke biga.De hue hai.n mullaah
unako maiKhaane me.n le aao sa.Nvar jaaye.nge

Related posts:

  1. Vo bhi shayad ro pade veeraan kaagaz dekh kar
  2. vo bhi shayad ro pade
  3. Gar aaj ka din bhi yun hi Tal jaye
  4. gar aaj ka din bhi yun hi Tal jaye
  5. Gul e nagmaa bhi nashtar hai Zia

Leave a Reply