Archive for the 'Sad Poetry' Category


Mutthi Bhar Namak

Aansu ko ankhon ki Dehliz pe laya na karo. Apne dil ki halat Kisiko bataya na karo. Log mutthi bhar namak liye Ghoom rahe hain Apne zakhm kisiko Dikhaya na karo.

Meri Tanhiyon Main

Woh Jo Kehtay Thay Dost Hamain Woh Jo Kehtay Thay Nahi Darr Hum Ko Duniya Ka Woh Jo Kehtay Thay Tum He Tum Ho Woh Jo Kehtay Thay Herr Musibatt Main Tumharay Her Ghum Main……….. Tumharay Zindagi Ki Her Khushi Main Shamil Hain…………… Shamil Hain Terey Jazboon Ki Tarha

Ae kaash woh manzar daikh sakoon

Mai khud ko dhoondnay nikla hoon fitrat mujh ko hamraz bana mai kaun hoon kuch yeh raaz bata Ae kaash woh manzar daikh sakoon jo aankh sai abtak ojhal hain ae kash woh wahdat ka lamha ik aisay ainay mai dhalay jis mai khud ko phechan sakoon mai kaun hoon raaz yeh jaan sakoon.

Saath chhor diya

zawal e zindagi mein sitaron ne saath chhor diya saba chali to chiragon ne saath chhor diya mila jo moqa mujhe unse baat karne ka Mera naseeb k Lafzon ne saath chhor diya

Nakaam Mohabbat

Tum is tarhaan wafa ke laaj nebhaye rakhna. Apne ansuon ko bhi anchal mei chopaye rakhna. Kahein dekhna le yeh dunya tum ko, Meri tasveer ko dil mei chopaye rakhna. Agar pochay yeh merey barey mein koi. muskora kar tum is ko jawab dena. Keh dena hamri muhabat nakam nahi. dono kay naseeb mein lekha [...]

Qabar ki matti

**Humari Qabar ki matti roz churata hai koi** **Har dum har pal yaad ata hai koi** **Ay “Khuda” do lamhay ke ley sansein de da** **Roz meri kabar se udaas jata hai koi.** By Zeeshan Shabir

sher kehne a mausam

Hawa uss se kehna… ke ab shehr-e-dil mein koi sa hu mausam teherta nahi hai. Muhabbat ka, yah beqarari ka mausam bharosey ka yah be-itbaari ka mausam Hu bechain rehne yah kerne ka mausam yonhi besabab jeene merne ka mausam Yah hu hijer mein aahien bherne ka mausam