Khwaabon ke aasmaan me
filed in Romantic Poetry on Feb.21, 2010
khwaab ke bina shayri kaisi ishq uska kaisa
mohabbat ke chaman ka phool kaisa gulista kaisa
khyaal jab mahaken yun,aankh khud b khud band hon
ajnabi sada se tasveer-e-tasavvur ka alam bahka bahka
khwaabon ke aasmaan me bhi sapno ki zameen rahti
yun hi nahi kaarva-e-anjuman iska rahta jawaa jaisa

