http://www.poetryguru.com/xd_receiver.htm Ibrahim Zauq - Poetry Guru

Entries in the ‘Ibrahim Zauq’ Category:

Ae Zauq dekh duKhtar e raz ko

Ibrahim Zauq
hai tere kaan zulf-e-muimbar lagii hu_ii
rakkhegii ye na baal baraabar lagii hu_ii

baiThe bhare hue hai.n Khum-e-mai kii tarah ham
par kyaa kare.n ke muhar hai muu.Nh par lagii hu_ii

mayyat ko Gusal diijo na Khaak_saar kii
hai tan pe Khaak-e-kuchaa-e-dil_bar lagii hu_ii

nikale hai kab kisii se bhii us kii mizhaa kii nok
hai phaa.Ns sii kaleje ke andar [...]

Tags: , , , ,

Leave a Comment

Jis dam baha ke le gaya tufaan

Ibrahim Zauq
dariyaa-e-ashk chashm se jis aan bah gayaa
sun liijiyo ke arsh kaa aivaan bah gayaa

zaahid sharaab piine se kaafir huaa mai.n kyuu.N
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n imaan bah gayaa

yuu.N roye phuuT phuuT ke paa.Nvo.n ke aabale
naalaa saa ek suu-e-biyaabaan bah gayaa

kashtii savaar-e-umr huu.N bahr-e-fanaa me.n mai.n
jis dam bahaa ke le gayaa tuufaan bah gayaa

thaa ‘Zauq’ [...]

Tags: , , , , ,

Leave a Comment

Mar ke bhi chain na paya to

Ibrahim Zauq
ab to ghabaraa ke ye kahate hai.n ke mar jaaye.nge
mar ke bhii chain na paayaa to kidhar jaaye.nge

tum ne Thaharaa_ii agar Gair ke ghar jaane kii
to iraade yahaa.N kuchh aur Thahar jaaye.nge

ham nahii.n vo jo kare.n Khuun kaa daavaa tujh par
balqi puuchhegaa Khudaa bhii to mukar jaaye.nge

aag dozaKh kii bhii ho [...]

Tags: , , , ,

Leave a Comment

Gar aaj ka din bhi yun hi Tal jaye

Ibrahim Zauq
aa.Nkhe.n merii talavo.n se mal jaaye to achchhaa
hai hasrat-e-paa-bos nikal jaaye to achchhaa

jo chashm ke be-nam ho.n, vo ho kor to bahatar
jo dil ke ho be-daaG, vo jal jaaye to achchhaa

furqat me.n terii taar-e-nafas siine me.n mere
kaa.NTaa saa khaTakataa hai, nikal jaaye to achchhaa

vo subah ko aaye to karuu.N baate.n [...]

Tags: , , ,

Leave a Comment

 

You need to log in to vote

The blog owner requires users to be logged in to be able to vote for this post.

Alternatively, if you do not have an account yet you can create one here.

Powered by Vote It Up