Aaj hai kuch ziyada betaabi

Bahadur Shah Zafar

ham to chalate hai.n lo Khudaa haafiz
but_kadaa kaa buto.n Khudaa haafiz 

kar chuke tum nasiihate.n ham ko
jaao bas naaseho Khudaa haafiz 

aaj kuchh aur tarah par un kii
sunate hai.n guftaguu Khudaa haafiz 

bar yahii hai hameshaa zaKhm pe zaKhm
dil kaa chaaraaGaro.n Khudaa haafiz 

aaj hai kuchh ziyaadaa betaabii
dil-e-betaab ko Khudaa haafiz 

kyo.n hifaazat ham aur kii Dhuu.Ndhe.n
har nafas jab ki hai Khudaa haafiz 

chaahe ruKhsat ho raah-e-ishq me.n aql
ai "Zafar" jaane do Khudaa haafiz

Related posts:

  1. sun to sahii jahaa
  2. Betaab hai kamaal hamara
  3. Ai “Zafar” jo haal hai mera
  4. Tabiyat meri maail kabhi aisi to na thi
  5. Kuch to hai

Leave a Reply